Wednesday, October 1, 2008

Pyala Zindagi Ka

Zindagi ek chai ka pyala hai, jab peena shuru kiya toh do–teen chuski ke baad thoda taste aane laga. Phir kuch aur aage bada toh mein sab kuch bhool kar ussi mein doob gaya. Laga maano pehli baar shayad kuch aisa mila hai jise peete rahne ka mann hai.

Ek waqt aisa bhi aaya jab pyala khali hota dikh raha tha, toh dil mein ek ajeeb si bechaini thi ki, koi aaye aur apna pyala issme mila de par aisa nahi hua. Ek waqt par aakar mera pyala khali ho gaya.

Ab mein baitha hua un saari chuskiyon ko yaad karta hoon jo maine dil se li hain aur dil hi dil ye dua karta hoon ki koi aaye aur apni zindigi ka pyala, mere pyale mein mila de taaki mein phir se un chuskiyon ka maza le sakoon.

Posted by Vikrant

No comments: